किस फिक्र किस ख्याल में खोया हुआ सा है,
दिल आज तेरी याद को भूला हुआ सा है,
गुलशन में इस तरह कब आई थी बहार
हर फूल अपनी शाख से टूटा हुआ सा है।
Kis Fikr Kis Khayal Mein Khoya Hua Sa Hai,
Dil Aaj Teri Yaad Ko Bhoola Hua Sa Hai,
Gulshan Mein Iss Tarah Kab Aayi Thi Bahar,
Har Phool Apni Shaakh Se Toota Hua Sa Hai.
💔😔💔
ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था,
जो शख्स गँवा बैठे है वो नायाब बहुत था,
मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को,
दरिया-ए-मोहब्बत में सैलाब बहुत था।
Taabir Jo Mil Jati To Ek Khwaab Bahut Tha,
Jo Shakhs Ganwa Baithhe Wo Nayaab Bahut Tha,
Main Kaise Bacha Leta Bhala Kashti-e-Dil Ko,
Dariya-e-Mohabbat Mein Sailaab Bahut Tha.
💔😔💔
दुनिया में कहाँ वफा का सिला देते हैं लोग,
अब तो मोहब्बत की सजा देते हैं लोग,
पहले सजाते हैं दिलो में चाहतों का ख्वाब,
फिर ऐतबार को आग लगा देते हैं लोग।
Duniya Mein Kahan Wafa Ka Sila Dete Hain Log,
Ab To Mohabbat Ki Bhi Saja Dete Hain Log,
Pehle Sajate Hain Dilo Mein Chaahton Ke Khwab,
Fir Aitbar Ko Aag Laga Dete Hain Log.
💔😔💔